Taqdeer sath day to zindagi moot k mun say bhi rasta nikal layti hai.Baglol.
Jab taqdeer dushman ban jaAy to koi dost kam nahi ata.Baglol.
Aisa clinic jahan say log shifa pain aisay baray hospital say behtar hai jahan par log mar jain.Bhalu Shah.
Baglol vs Shrine vs Tomb
Na mazaraat k haq me hun na ishtaharaat k haq me hun
Me to meri jan khudi k bukharaat k haq me hun.
Hikmat k bagair ilm aisay hai jaisay libas k bagair insan. Baglol.
Khud ko azad keh kar bhi taqdeer ka ghulam raha
Khudi ke haqeqat na samjhi par masjid ka imam raha.
Nizame mustafa kya hai
Adalo insaf aur musavaat
Bhaichara aur ikhlaqiyaat.
Bus ho gaya tun zabani kalami musalman
Haqeeqat me samjha na tun kabhi quran.
Arif bhi ho amil bhi ho kamil bhi ho
Aisa tabhi hota hai jab fazal tamam shamil bhi ho.
Kon nahi hai gustakh zamanay me?
Kon nahi peta hai mehkhanay me?
Faqar ke tarjumani kar raha hun me
Tujh par meharbani kar raha hun me.
Abad vs Umat
Haqeqat rasomaat me kho gai
Ye umat hikayaat ke ho gai.
Mun me cigarette ghar me quran qazi
Phir kaisay ho tujh say Rab razi?
Kachay gharon me rehnay valay bhi pakay cigarette penay lagay
Insan bhi is mulk me janvaron ke zindagi jenay lagay.
Paisay fazool kamon par kharch kertay hain musalman
Ye kyun kertay hain deen o duniya ka nuqsan?
Musalman rasomaat say nikla ravayaat me ja phansa
Ravayaat say nikla to kharafaat me ja dhansa.

Abad vs Bay Khudi
Dil kahin dimag kahin nigah kahin
Meri bay khudi ka jahan yahin.

Ab talak tun na samjha quran ke haqeeqat
Kyun bana phirta hai tun rehbare shariyat o tareeqat?
Musalmano ko hain mujh say shikayaat
Kyun bhol gaAy ye apni kharafaat?
Na rasomaat ka adi hun na ravayaat ka
Me uqab nahi hun mahaz hikayaat ka.
Umar teri guzri kitabain perhanay me serihan charhanay me
Baqi jo bachi hai mat guzaar larnay jhagarnay me.
Alim ke umar ka kya hai
Adhi guzar gai kitabain perhanay me
Adhi guzar gai munaziray larnay me.
Molvi ke umar ka kya hai
Adhi guzar gai shor machanay me
Adhi guzar gai halva khanay me.
Mirasi ke umar ka kya hai
Adhi guzar gai dhol bajanay me
Adhi guzar gai nachanay ganay me.
Abad vs Iqbal
Mujh me tujhay Iqbal ka aks nazar aAy ga
Kuch baton me mujhay Iqbal say baraks paAy ga.
Kyun itnay bachay paida kerta hai tun?
Kyun khuda say nahi derta hai tun?
Hukmaran paisay kha jain to log cheektay chilatay hain
Khud ye 250 arab cigarette k dhunvay me uratay hain.
People vs Language
Buray lagtay hain tujhay tum aur tun k alfaz
To phir urdu aur punjabi ke zaban say nikaal day.

Bhalu vs Iqbal vs People
Log havalay be daytay hain aur perhatay be hain Iqbal ko
Kya hi acha hota daikh laytay jo ye apnay amaal ko.
Abad vs Poetry
Bamaqsad shayari ho to aisi
Ho bahu meri shayari jaisi.
Iqbal vs Saint

Devil vs Muslim
Kaisay kahun me tujhay musalman?
Tun hai aj ka shaitan.
Bohat shoq say cigarette petay hain muslaman
Apnay sath dosron ka kyun kertay hain nuqsan?
Cigarette petay hain hamaray jo javan
Haqeqat me hain ye abhi nadan.
Baglol vs Saint
Kyun Auliya muqarar kar jatay hain aisay gadinasheen?
Jin ka batin hota hai wayran aur gamgeen.
Kyun mazaraat par log lagatay hain sona?
Bhol jatay hain gareebon ka rona dhona.
Me zindon ka pojari hun murdon ka nahi
Me dilon ka baupari hun gurdon ka nahi.
Iqbal vs Book

Wo mayray ansuon ke qemat laga gaya
Wo mujhay aur bhi zaida rula gaya.
Abad vs Saint
Kaisay auliya hain tayray sanjeeda nahi hotay
Apnay amaal par kyun ranjeeda nahi hotay?
Tilavat to hai par halavat nahi hai
Halavat to hai par sakhavat nahi hai.
Fakhar hai logon ko bid'dat pay
Haqeqat ko chor kar rasomaat pay.
Na shaitan say na hayvan say
Gila hai mujhay apnay musalman say.
Tayray auliya ke aAy ge shamat
Jis rooz ho ge rozay Qayamat.
Log mazaraat pay jatay hain chadrain charhatay hain
Khuda ko mantay hain aur cigarette sulgatay hain.
Chay fut ka shaks dus fut ka mazaar
Aik nahi khushi aur dukh hazaar.
Tun bohat agay tak jaAy ga
Par afsos mun ke khaAy ga.
Kyun kerta hai behron say batain abad?
Ye hargiz nahi sun saktay teri faryad.
Insan ka husn insaniyat hai.Bhalu Baglol.
Khudi pay kar charhai
Yehi hai zoor azmai.
Nikaal layta hai bat bat pay tun talvar
Kya me nay dayna hai tera koi udhar?
Ahlay nazar bhi nazar say gir gaAy
Ye be vaday kar k phir gaAy.
Tayray sath karun kon sa salook?
Mujhay bata tun hai kon se makhlooq?
Bhalu Shah vs People
Faqeer bhe hun shaitan bhi hun
Tayray liye khatrae iman bhi hun.
Faqeer be hun shatan bhi hun
Teri khudi ka imtihan bhi hun.
Bana phirta hai tun ashiq
Haqeqat me ho chahay fasiq.
Mera falsafa gand ghatana hai barhana nahi
Mera falsafa masla suljhana hai uljhana nahi.
Na jinaat say na farishton say
Mujhay pyar hai khon k rishton say.
Khud ke talash me waqt zaya na kar
Darakt ke chaon ho to saya na kar.
Me Rumi Me Iqbal
Meri shayiri bay misaal.
Khudi me doob kar gafil na ho jahan say
Farishtay to anay say rahay madad ko asman say.
Sun to sahi meri bat
Kar khud say ik mulaqat.
Kyun apni haqeqat hoti nahi hai tujh pay ashkara?
Tun hi to hai tareek asmaan pay chamakta huva sitara.
Maqame zameen say guzar kar asman ho ja
Asman say bhi guzar la makan ho ja.
Abadi barhay ge to barhain gay masa'il
Phir tayray kaam na Aayn gay wasa'il.
Kya ye bat hai fazool?
Nahi hoti teri dua qabool.
Tera libaas tayray firqay ke nishani
Ye kaisi hai bhaya teri musalmani?
Safai nisf iman hai ye bhol gaAy musalmaan
Har rooz choom kar rakh daytay hain quran.
Na farishton ke na jinaat ke
Baat kerta hun me akhlaqiyat ke.
Insan k kaam insan hi aya
Farishtay aur jin say kya paya?
Muhammad(s.a.w)k tabay farishtay aur jinaat
Teri aur meri kahan ye auqaat.
Agar batyan mom batayan ye kaisi hain rasomaat?
Ye to nahi auliya ke talemaat.
Jab tak hai jaan tab tak hai imtihan
Meri khudi hai musalman yehi hai mera iman.
Farishtay aur jinaat
Hain batini makloqaat.
Waqt say pehlay jananay ke nahi ye baat
Moot k waqt mit jaAy ge teri zaat.
But parasti qabar parasti nafs parasti
Kernay vali mita day apni hasti.
Har taraf nazar atay hain gilazat aur gandagi k dhair
Phir kaisay kehtay hain non league valay khud ko shair?
Parh kar daikh lay Iqbaliyaat
Hain sari khudi ke sifarshaat.
Insan ka dimag hai markaze tajaliyaat
Aray yehi to hai maqame haziraat.
Ye hai un dino ke baat
Jab istamal hoti thi qalam davaat.
Darvaish ko choor nafsani
Pakar koi faqeer sultani.
Me hun talib sarvari
Nahi kerta aqarba parvari.
Bacha aik hi acha
Me hun acha bacha.
Bachay do hi achay
Hum hain achay bachay.
Ye kaisa hai islami jamhoriya Pakistan?
Yahan hota hai garebon ka nuqsaan.
Government vs Pollution
Tun nay alooda kar diya hai apna watan
Safai k liye karnay parain gay hazaar jatan.

Zaban teri bay huda mulk tera alooda
Ye bat meri hai azmooda.
The Philosophy Of Imam Hussain(a.s)
Falsafae Imam Hussain(a.s)kya hai?
La ilaha hai to ilalallah hai.
Baglol vs Bribe
Rishvat bhi do izat bhi do
Phir ja kar kahin nookri lo.
Lutayron ka mulk hai tun bhi loot
Lootay huvay paison say pehan lay suit boot.
Government vs Population
Hum tabahi ke taraf ja rahay hain
Kyun apni abadi barha rahay hain?
KAt'tay ja rahay hain shajar ashjaar
Ye khabar kyun nahi chAptay akhbar?
Haq goi o bay baqi meri shayiri say ayan
Goya meri shayiri hai haq ka atish fishan.
Tun lagata reh shajar ashjaar
Shayad ho jaAy kam ghubaar.
Kyun hai yahan gard o ghubaar?
Sans layna bhi hai dushvaar?
Pur az hikmat hai kalaam mera
Salamti ka mazhab hai Islam mera.
Ho jis k batin me roshan Ism Allah
Us ka batin ban jata hai arshay muala.
Day raha hun me Haq ke Azaan
Aao falah ke taraf varna hai nuqsAn.
Copy Paste Don't Waste.
Meri shayiri Haq goi o Bay Baqi
Seekhe nahi me nay teri tarah chalaki.
Tease Before Pleaze.
Bhalu Shah vs Poets
Teri shayiri say me mutasir na huva
Na shararat is me hai na hararat.
Shayiri kya hai?
Alfaz ke Maharat.
Ghar ka naqsha bana saadgi k sath
Dil o Dimagh ke Amadgi k sath.
Beast vs Gujar East
Ye sawaliya nazron say daikh rahi hai tujhay
Poch rahi hai kyun lagatay ho tekay mujhay.
Visit www.Tasawur12.blogspot.com


